Top 10 Amazing & Intresting Facts About YouTube|Part 1
Youtube video share karne ki sabse jyada popupar website hai. Youtube par daily hazro videos upload kiye jate hai. Shayad hi ko ihoga jisne YouTube ko use na kiya ho or kabhi YouTube par video na dekhe ho. Aaj is post me mai aapko YouTube ke bare me kuch interesting facts or amazing jankari bta raha hu. Jinhe bare me aap shayad hi pahle jante ho
Top 10 Amazing & Intresting Facts About YouTube :-
Youtube ek aisa place hai jaha par aap music video, movies, funny and other har tarah ki quality ke video dekh sakte hai. Aaj to YouTube par har tarah ki video bana kar aap apne online business ko promote kar sakte ho. Jaise aap blogger ho to aap apne blog ke liye video bana kar YouTube me upload kar sakte ho. Isse aapke blog ka promotion bhi hoga or aapki YouTube se earning bhi hogi.
To chaliye ab mai bat karta hu YouTube ke bare me interesting facts ki yani YouTube ke bare me kuch rochak information.
Facts 1: Youtube Founder :
Youtube ko Chad Hurley, Steve Chen, and Jawed Karim ne 2005 me banaya tha. Youtube ke ye teeno founder pahle Paypal ke liye kaam karte the. Hurley paypal ke liye logo design karne ka kaam karte the. Chad Hurley, Steve Chen, and Jawed Karim
Facts 2: First video
Youtube par sabse pahla video Saturday April 23rd, 2005 ko YouTube ke co-founder Jawed Karim ne upload kiya tha. Jawed Karim ke dwara upload kiye gaye YouTube ke first video ka title “Me at zoo” hai.
Facts 3: Most Poplar video
Youtube par sabse jyada bar dekha gaya video Gangnam Style hai. Ye video ab tak 2,574,112,457 se bhi jyada baar dekha ja chuka hai.
Facts 4: Uploading Per Second Videos
Youtube par har ek second me 100000 se bhi jyada vidoes dekhe jate hai.
Facts 5: Uploading Per Minute Video
Youtube par har ek minute me 100 hours se jyada time ke video upload kiye jate hai.
Facts 6: Uploading High Quality Video
Youtube par sabse jyada HD quality ke video upload kiye jate hai.
Facts 7: Time Watch all Videos
Youtube par video dekhe gaye time ko agar joda jaye to 17,00 to 18,00 year time banta hai.
Facts 8: Available Countries and Languages
Youtube is time me world me 60+ country me available hai or YouTube par 75+ difference language ke video uplabad hai.
Facts 9: Youtube all Users
Youtube ke apne 1 billion se jyada user hai. Yani internet chalane wala har tisra user YouTube use karta hai.
Facts 10: Global Popularty
Youtube google ke bad duniya ka dusra sabse bada search engine hai. Yani ye bing, yahoo, ask and other sabhi search engine se aage hai.
Now, I hope aapko is post me YouTube ke bare me real me interesting facts pata chale honge. By the way, Agar aapke pas YouTube ke bare me koi or amazing information hai to aap comment me humare reader ke sath apni jankari share kar sakte hai.
Agar aapko YouTube ke bare me ye post achi lage to ise social sites par apne friends ke sath share jarur kare.